Thursday, February 01, 2007

NA JAANE KYOON...????

Na jaane kyoon,
nahin mahek rahi hai kali bahaar ki..
Na jaane kyoon,
nahin beh rahi paavan pavan pyaar ki.
Ki gul kabhi khila to tha,
aur chaie thi rut basanth bahaar ki.
Ki jhoomti hava chali to thi,
aur layi thi zameen pe mahek mere pyaar ki.
Na jaane kyon,
khali reh gaya paimana wo sharab ka.
Na jaane kyoon,
Nakabposh ho gayi wo chamak shabab ki.
Ki pyaas to lagi hi thi,
aur bhara hua maiaana,aankhoon mein saja bhi tha.
Ki saaki bhi laajawaab tha,
aur haath mein uske pyaala vo jaam ka.
Na jaane kyon,
chaie si hai kuch nami ab aankhoon mein.
Na jaane kyon,
kho rahi thi aankhoon se roshni shamaoon ki.
Ki dhoop vo kabhi dhali na thi,
aur aag vo bhi kabhi bujhi na thi.
Ki neend to kabhi aaye na thi,
aur aankh bhi kabhi lagi na thi,magar,
Na jaane kyoon,
Lagti hai adhoori si ye zindagi.
Na jaane kyoon,
mai likh raha hoon yeh kadi.
Ki kabhi vo beshumaar geet,bhi maine hi gaaya to tha
aur jeevan ke gul ko,
kabhi seench ke maine khilaya to tha.
Ki khil rahi,
hai ab hasi chehre pe har ghadi,
Par na jaane kyoon,
ro raha hai dil mera,chupa hua.
Na jaane kyoon,
toot gaya hai vo atoot vishvaas mera..
Ki na jaane kya bhul hui raah mein pyaar ke,
guzar rahe hain din ab bin mere yaar ke.
Na jaane kyoon,
na ho sake hum ek yahaan sansaar mein..
Ki chaahat bhi to thi,
aur marasim jude bhi the yaar se..

No comments: