Wednesday, February 14, 2007

ek khwahish

gardish mein chaye chaand taare aaj hulchul kar rahe hain....
tujhko mere dil mein saansoon ki jagah dhadakte dekh aaj vo bhi jal rahe hain...
meeri aankhoon ke noor mein tera hi tasavvur jhalak raha hai...
teri ulfat meri rooh mein jeevan ban ke panap rahi hai..
tujhko paakar humne raatoon mein bhi noor hi paya sanam..
teri dua se,aaj humne jeevan amrit paaya sanam...
dil ke armaanoon ko hoonthon par laakar ab kya karein,
jab tune dil ke har armaan ko apna banaya sanam..
Ab us shabnami raat ka intezaar hai..
jis pal mein basa hoga tere mere pyaar ka sansaar sanam..
dooriyaan jo hain wo khwaboon mein ab tak mit ti rahin...
ab jaldi aakar khwaboon ko bhi le jao sanam...

No comments: