Thursday, February 01, 2007

DIL...!!!!

Bada hi anokha hota hai dil,
har pal jo dhadakta hai dil.
Jaane kitni khwahisheen rakhta hai dil,
kitni aahein bharta hai dil.
Na jaane kyon bhara bhara sa rehta hai dil,
jaane kis liye tadapta hai dil..
Jane kya hota hai dil,
kyon bebas karta hai dil.
Jane kyon hota hai aisa dil,
kyon vash mein karke rakhta hai dil.
Jane kyon saansoon ko kayam rakhta hai dil,
kyon rishtoon mein ulajhta hai dil.
Phir kyon itna kamzor hota hai dil,
har pal banta bigadta rehta hai dil.
Jaane kyon aaj mujhse yeh puchva raha hai dil,
jaane kyon likhva raha hai dil.
Jaane kyon dil se aazaad hona chahta hoon main,
ya khud se aazad hona chahta hai dil.
jaane kya dhoondhta hoon main,
ya jaane kya dhoondhta hai yeh dil.
Jaane kaisi kash-ma-kash mein uljha hai dil,
jaane kaisi uljhan mein laya hai dil.
Jaane kya fitrat rakhta hai dil,
phool ya keval uski mahek ko chahta hai dil.
Bagh mein to har phool ki mahek ek samaan hai failti,
phir kaise ek phool ki mahek ko pehchaanta hai dil.
Na jaane kis daaman ko thamna chahta hai dil,
jaane kis saki ko saathi banana chahta hai dil.
Dost to kai hote hain,
phir kaise pyaar ko pehchaanta hai dil,
jaane pyaar ki kis paribhasha ko maanta hai dil.
Ajab mod pe aaj laaya hai dil,
ek jeevan aur ek saaya laaya hai dil.
Dono ko apnana chahta hai dil,
par na jane kise paraya banayega yeh dil.
Na jaane kis anjaan ko apnayega yeh dil,
na jaane kis mod pe laake chod jayega yeh dil.....

No comments: