ek ghutan si reh gayi bas saansoon mein..
ek anjaani si kami mehsoos ho rahi hai armaanoon mein...
jeene ke liye tamanaaooon ki zaroorat hai magar ...
jeene ki tamanaa hi nahi rehguzar dil ki panahoon mein..
kai khwahishein puri hui hain meri..
ek iltija abhi tak namanzoor reh gayi..
hasne ke liye chand haseen lamhe hote hain kafi magar
hasne ki wo ek fariyaad hi ko ansuna kar diya hai usne..
tere saath guzar karne ki chah pali thi dil mein..
tere daman ko thamke safar tai karna tha mujhko..
paon mein kai kaantooon ke dard ko jhela bhi tha humnein..
Ek chale ne dil ko hi nasoor bana diya ulfat ka,kya karein...
ab mai khayaloon ki ek zindagi guzarta hoon..
jeene ke dard ko sehne ke liye khud ko nashe mein utaarta hoon..
nashe mein bhi saha nahi jaata to ek kavita rachata hoon..
wo bhi nahi sahlati agar to,andhere mein khud ki ek tasveer jalata hoon..
kai pehloo jeevan ke main bhulana chahta hoon..
un pehluon ka dard ragoon me bas gaya hai,kya karoon
ragoon mein bahta hua rakht hi zinda rakha hai mujhko..
ragoon ko kat nasoor ko alag karoon to zinda kaise rahoon...
2 comments:
"wo bhi nahi sahlati agar to,andhere mein khud ki ek tasveer jalata hoon.." :)
pyaar kya se kya kar deta hai
:(
Us dard ka ehsaas in lawzon me bada hi gehra hai.
Is ghutan ka anth hoga kabhi to,us din ke liye dua karenge :)
Post a Comment