Monday, January 29, 2007

"who now has a legend's fame"

The night was calm with a starlit sky
The search for the moon, lurked hither thither in his eyes
He searched for a clear view in a dwindling milky way
Blurred by the tears which filled his eyes and rolled away
Dejected he sat,still staring at the sky
as the silence grew thicker and clouds came by
The moon lost in oblivion,even the starlight was gone
The night grew darker around him,leaving him woe-begone
He sat on the ground moist with tears,
They had frozen in his eyes with the cold of his fear
His tears had stopped but eyes still raised
Questioning the heavens with a helpless rage
He was looking for his answers, wishing for a boon
the best of all his treasures,a glimpse of his moon
The clouds were flying by as night held its pace
as he closed his eyes,thoughts filled with her face
His breath was growing loud,heart beat clear
slowing their pace down hinting at the end which was near
He went through all that night,sorrow happiness and fear
He rose and walked,pulling his legs which had gone stiff
He walked towatds the sky,till theend of the highest cliff
There wasnt a soul nearby,nor a puff of air for a leaf to turn
The night resembled his soul,left with nothing to burn
He wasnt drunk,but had no control over his mind
As he rose again to put up a final tiff,leaving all behind
Something divine the, people say happened that night,
As mist settled down,skies were filled by a light.
He saw her claim some,some say he heard her name
and thats the last they knew of him,who now has a legends fame

Wednesday, January 24, 2007

Ek dua hai....

Ajab yeh dil ki ranjishein hain...
na jaane kahaan strotra inka !
nahin bharta ji ab maikadoon se,
paimana khali pada hai dil ka.
Guzarte hue pal lagte hain bhari,
Jeevan ke safar ka anth nahin dikhta.
Kadmoon ke neeche rahein dagmaga rahi,
Apne saaki ka sahaara bhi nahin milta.
Aankhoon mein kashishoon ke ghere,
aansoon ban ab beh rahe hain...
Mann ki khwahishoon ke aashiyaane,
Jaane kahaan kho gaye hain...
Gardishoon mein chaye wo taaaron ke mele,
Sannate ki chadhar odhe gum ho gaye hain...
Meri ulfat ke wo rangeen afsane,
simat ke barkha mein murjha rahe hain...
Sulagte mere is jeevan ki...
ab raakhein udhne lagi hain...
Sard aahoon ki thithur mein
vo namm hone chale hain...
Saanson mein basi narm garmaahat,
ab khud mein bujhne lagi hai...
Rosandaanoon ke ujaaloon mein,
door tak andhere chaane lage hain...
Mere ateet ki parchaie mein,
ab merawajood mitne laga hai...
Mere dard min ab jo reh gaya hai baki,
wo sirf mere yaar ki salaamati ki ek dua hai......
Ki andhere mein chiraag jalaane nikle the,
Ghar apna jaala aaye..
Khud hi apne haathoon se,
apne yaar ka gala daba aaye
kacchi kali todi nahin jaati,
puraani mohabbatein chodi nahin jaati
waqt ki har karvat pe,
zindagi ki raahein modi nahin jaati
ek baar kuch khone pe,
phir paane ki umeed choi nahin jaati
kuch khwahishoon ke peeche,
apni manzilien bhulai nahin jaati
gam-e-dil ke saayoon mein
apni parchaiyaan khoi nahi jaati
khud hi apne haathoon se ,
ulfat ki nayya duboi nahin jaati
lakh koshish karein diljale,
uski schhaie dil se chupaiye nahin jaati