Thursday, February 14, 2008

Laya hoon..ek nagma...tere liye

laya hoon ankahi...ajnabi si pyaar ki ek pankhadi....
khwaboon mein rehguzar hogi jo,aisi hi..ek pankhadi
pheroonga usko main tere tan pe,O pari
halki si chuan se ,badan ki tilmilan se aayegi ek hasi
gulab ki panhadiyon jaise tere laboon pe
laya hoon aise pal...simta ke teri aahoon mein
jo khule to failey charoon aur mastiyaan..
sunahre kalpanaon ko bhi wo sharmajayegi
tere mahekoon se saje...honge pal,jaise baghoon mein kali..
tei aankhoon ki nammiii..hogi na unme kahi..
laya hoon aise hi ek anmol si kadi
mere dil mein basi teri ulfat ki hai wohi dastaan..
dard aur shikan nahin,hai jannatoon se bhari
muskurahatoon se rangi tassavuroon ki gali..
laya hoon tere dar pe aisi hi ek sada..
mere dil ke armaan jo honge na ab fanaa.
tujhko hi le jaoonga main wahaan, honge jahaan..
aise hi kai saherien,shyaamein aur ek choti si dastaan
laaya hoon himmatein,mitane ab dooriyaan..
ab nahin hongi fir kabhi koi addchanein apne darmiyaan..
jaan ke bhi ki hai tu ajnabi..,chahoonga
ye ulfat hai meri prerit tujhse hi..
bhulkar bhi kabhi na juda hoonga kabhi..
chahogi umr bhar humko bhi..hai yakeen
poorn karti hai meri tasveer ko jo wo rang ho tumhi...
rang auroon ka bhi hai magar,tere bagair adhuri hai tasveer meri..

No comments: