Friday, October 13, 2006

Suraj ko dekhta hoon main..
kabhi chupta hai baadloon mein,
to kabhi grahan lagta hai us par..
Chaand bhi aata hai aankhoon ke daaiyre mein..
Khoya hua sa lagta hai raat ki tanhaiyon mein,
to kabhi amavas ki dasha lagti us par..
Aisi hi kuch baatein hain is dil mein..
kabhi nikhar uthti hai jaise phool barkha mein..
to kabhi khwahishoon mein kho jaati anamika ban kar..

1 comment:

pourush said...

aur uthte hain phir sawaal is zehen mein,
woh kaun si hai jhijhak,
woh kaun sa hai darr,
jo arzoo, jo baat,
jaagi thi ek sholay ki tarah,
aur bujh gayi, ek katra jala kar.